Mufsa Lyricist
Artist: Mufsa Lyricist
Kaisi guzri hai baki zindagi,
Sach kahu koi hosh hi nahi.
Saalo guzre, malal hai wahi,
Tujhe duniya pasand, mera saath hi nahi par.
Sach to ye hai ye dar khula hai,
Ye bachpana hai jo fasla hai.
Hai lakh panno ki ek kahani,
Ye tere mere jo darmiyan hai.
Ye shaam halki, ye raat gehri,
Ye dil na maane, tu jaa chuka hai.
Hai kuch kami,
Kuch to ho gaya hai.
Main tujhko dhoondhu,
Tu kho gaya hai.
Kehdo na hamko aakar,
Tumko behtar kya lagta hai.
Badlenge khudko waise,
Jaise tu badla karta hai.
Kehdo na hamko aakar,
Tumko behtar kya lagta hai.
Badlenge khudko waise,
Jaise tu badla karta hai.
Hun chand jaan,
Mujhme lakh daag.
Tu noor dil, jugnu ban mita.
Main jee raha banke aibdaar,
Yun na jeete jee mera gam mita.
Wo lamhe baaki bhi ab kahan,
Jinse zyada yaadon mein jee gaya.
Tu haal-e-dil sunke has pada,
Tera shukriya, mera dil jala.
Kabhi aaye lamhe ye din suhaane,
Main likhne baithu, tu gunguna de.
Hai feeke lehze, ye gam hawa de.
Main tujhko dekhu, tu muskura de.
Vehem mera hai ya haadsa hai,
Ye yaadein dushman hain, ek saza hai.
Wafa kahu ya ye aashiqui hai,
Ye zindagi bhar ka karva hai.
Tum jisko gam kehti ho,
Dil hai, dil mein tum rehti ho.
Samjha hai tumko utna,
Jitna humse kam kehti ho.
Kehdo na hamko aakar,
Tumko behtar kya lagta hai.
Badlenge khudko waise,
Jaise tu badla karta hai.
Kehdo na hamko aakar,
Tumko behtar kya lagta hai.
Badlenge khudko waise,
Jaise tu badla karta hai.